Pages

Saturday, 21 May 2011

Meri Zindagi Tu Firaq Hai _ Peer-E-Kamil (S.A.W.W)




Meri Zindagi too faraaq hai,wo azal se dil main makee'n sahee
Wo nigaah_e_shauq se door hain,rag_e_jaa'n se laakh qaree'n sahee

Hamein jaan deni hai aik din,wo kisi tarah wo kahin sahee
Hamien aap khainchiye daar par,jo nahin koi tu hamee'n sahee

Sar_e_toor sar_e_hashr ho,hamein intezaar qabool hai
Wo kabhi milein,wo kahin milein,wo kabhi sahee,wo kahin sahee

Na ho un pe mera bass nahin,ke ye aashqi hai hiwas nahi
Main unhi ka tha,main unhi ka hoon,wo mere nahin,tu nahin sahee

Mujhe bhaithne ki jaga milay,meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman mein agar nahin,teri anjuman ke qaree'n sahee

Tera dar tu hum ko na mil saka,teri rahguzar ki zamee'n sahee
Hamein sajda karne se kaam hai,jo whan nahin tu yahee'n sahee

Meri Zindagi ka naseeb hai,nahin door mujh se qareeb hai
Mujhe uska ghum tu naseeb hai,wo agar nahin tu nahin sahee

Jo ho faisla wo sunaayye,usse hashr par na uthaayye
Jo karein ge aap situm waha,wo abhi sahee,wo yahee'n sahee

Usse dekhne ki jo lo lagi tu NASEER dekh hi lain gey hum
Wo hazaar aankh se door ho,wo hazaar pardah nashee'n sahee...

No comments:

Post a Comment